YouTube video ko trending me kaise laaye

Is post ke dwara main aapko kuch aise behtarin tips batane wala hu jiski madad se aap badi aasani se apni videos ko youtube par trending par la sakte hain iske liye aapko kuch
WhatsApp Group Join Now

Last Updated on 07/07/2024 by Avtar Singh

youtube video ko virul kaise kare : Is post ke dwara main aapko kuch aise behtarin tips batane wala hu jiski madad se aap badi aasani se apni videos ko youtube par trending par la sakte hain iske liye aapko kuch vishesh tips ko follow karna hoga jiski madad se  apne koi bhi special video ko trending par la sakte hain.

youtube video ko top rank kaise kare
 Har youtuber ki yahi samasya rehti hai ki unke youtube par view bahut kaam aate hain. Unki income bhi bahut kam hoti hai agar
aap apne income ko badhana chahte hain to youtube video ko trending me lana bahut jaroori hai aur youtube video trending me tabhi aata hai jab video bahut jyada viral hota.
Iske liye hame kuch tarikh ko apna hoga jiski madad se apne youtube video ko popular bana sakte hai.
Pichle post main maine aap ke liye youtube se judi hui kuch jankari share kiya tha agar abhi tak aapne vah  jankari nahi padhi to unhe jarur padhen jis se aap ko apne youtube channel ko grow karne mein kuch help jarur milega.


Read This post-


Video ko virul kaise kare
Mobile se youtube intro video kaise banaye
Youtube Video me custum thumbnail kaise lagaye
Jyadatar aapne dekha hoga ki kuch vishesh logo ke hi youtube video
trending mein aate rehte hain jaise ki apne technical guruji ka dekha
hoga dekha hoga aur isi tarah se bahut sare video trending mein aate hain.

In video ka trending mein aane ka kya karan hai jiski vajah se inke jyada se jyada video top par aate hai. Hame sabse pahle use karan ko jana hoga jisse follow kar hum apne video ko trending me la sakte hain.
Trending mein aane ka sabse pahla karan yahi hai ki uska ek din main bahut jyada view hote hain agar hum apne koi bhi video par ek din main bahut jyada view receive kar rahe to hamara vah video top par aa jayega aur trending mein aa jata hai.
Jab koi video popular ya top mein aata hai to use bahut jyada log dekhte hain kyo ki vah  video trending mein hai aur is tarah se usme
income bhi bahut jyada hota hai aur use video ke view bhi badte jaate hain.

Video ko trending me lane Ka Tarika 

youtube video ko top par kaise laaye

तो अब आपको पता चल गया होगा कि वीडियो ट्रेंडिंग में कैसे लाया जाता है यानी कि जब हम अपने कोई भी वीडियो पर बहुत ज्यादा दिन में view हासिल कर लेते हैं तो वह बड़ी
आसानी से ट्रेंडिंग में आ जाता है लेकिन
1 दिन में बहुत ज्यादा व्यू हम कैसे हासिल कर सकते हैं ऐसा कौन सा तरीका या tricks है जिसकी मदद से  1 दिन में 1 milion view हासिल
किया जा सकता है या इससे भी ज्यादा।
वीडियो को ट्रेंडिंग में लाने के लिए view कैसे हासिल करें

◽Trending topic par hi video Banaye 

Yah sabse important cheez hai apne koi bhi post ko top karane ka. Usi Tarah Ke video trending par Aate Hain Jis cheez ka dimand is time par rehta hai.  
jaise ki whatsapp par koi latest feature aaya hai aur sab log use istemal karna chahte hain aur aap usi se juda hua koi video bana diya hai to log us chij ke bare mein bahut jyada search karte hain is tarah ke video ko dekhte hain aur trending mein chala jata hai isliye jab bhi aap kisi topic par video bana rahe hain to trending topic par hi video banaye
Trending topic par video banane ke liye hamesha social media se, newspaper se ya aise jitne bhi tarike se aapke youtube channel ki topic janne wale tarike se  un sab se jude rahe jahan se aapko trending
cheejo ke bare mein jankari milta rahe. Jab bhi koi topic chalan mein hain use juda hua video sabse pahle banane ki koshish kare. 
Agar aap sabse pahle video banakar share karte hain to video top mein jaate hain. Lekin baad me bahut se logo ke video banana ke baad kisi topic par video bna rahe hai to  ise fight karna thoda mushkil ho jata hai isliye pahle video banane ke prayas kare.
 

◽Trending keyword ka use Karen

Dusra sabse important hai keyword Ka istemal Karna. keyword ka istemal Karne Se Hamare video trending Mein aata hai Kyunki Jis keyword par Jyada search hote hain aur competition bahut kam Hota Hai Is Tarah Ke video badi asani se  rank kar Jate Hain.  
Apne koi bhi video jisko trending milana chahte hain use par trending searches se aane wale keyword ka istemal karen. Us word ka competition dekhna bhi bahut jaroori hai agar jis keyword par bahut hi jyada competition hai to use tarah ke video top karna thoda sa mushkil ho jata hai. 
Aap aise keyword ka istemaal kare jis par competition bahut kam hai lekin search volume bahut jyada hai to usse aap ka video  top par aayega.

◽Youtube title,thumbnail,description yah bahut jaruri hai


youtube video me yah teeno bahut hi jaruri hai top karane ke liye. Iske bina aap apne video ko kabhi bhi sahi tarike se top pare nahi laa sakte hai.

Title  video ka vah important point hai jisse viewer video ki talash karta hai us video tak pahuchta hai. Title aise dena chahiye jo viewer internet par search karta hai jaisa paaye vaisa title nahi dena chahiye.

Iske liye ho sake to youtube title genrater ka istemaal kar sakte hai aur video dekhne walo ke hisab se ise creat kar sakte hai.

Thumbnail bhi viewer ko attract karne ka best point hota hai video me chahe kuch bhi ho ahar thumbnail best aur attractive hai to jarur wah video ko dekhne ke liye us par click karta hai. Isliye top par lane aur video me adhik se adhik view hasil karne me thumbnail ko behtar aur impressive banaye.

Description Kai video me viewer us video ke thumbnail ya title konahi balki uske description ko dekh kar use dekhta hai.us video ke andar aisa kya hai uske description me jarur dekhta hai. Tab jaakar vah video ko dekhta hai.

Isliye agar aapko sabhi taraf se apne video ke liye view jutane hai to description ko bhi rochak banaye jisse koi bhi ise padhne wala kisi dusre video par naa jaaye. 


◽Adhik Se Adhik Social Share Karen



Main upar mein aapko jo do point bataya hai usse  aapko organic
traffic lane me mein bahut madad karega lekin hamare jo social share se bahut saare direct traffic hasil kar sakte hain jis ki madad se aap apne video ko top par la kar trending me la sakte hain.

Internet par aapko aise bahut sare social media platform mil jayenge jha par apne video ko share kar sakte hain.


isme se sabse Pehla Hai WhatsApp.  Whatsapp ke dwara bhi aap
bahut Sare logo se share kar sakte hain Apne video ko popular banane ke liye aur apne income badhane ke liye.

Apne whatsapp mein kam se kam 100 se bhi upar group mein jud kar rahe jisme daily apne video ko share karte rahe. Agar aap 100 se bhi upar group mein video ko share karte hain aur agar ek group mein  200 member hai to 200 member main agar 180 member  video ko dekhte hain is hisab se 100×180=18000 view aapki only whatsapp se hi aayega.

Whatsapp ke jaisa aap tailygram me bhi aisa kar sakte hai hajaro view bana sakte hai.

Isi tarah se facebook, twitter, instagram, linkedin, pinterest aur jitne bhi tarah ke social media platform istemal karte hain ya nahi bhi karte hain tu jarur istemaal kare aur unme bhi apne video ko share kare taki in sabhi se direct traffic hasil kiya ja sake aur apni video par view badhaya ja sake.   Jab aap ki video par jitne jyada view Honge bade aasani se vah video top per chala jayega.

 
To friends yah to the kuch top 3 tarike JisKe Madhyam se apne video ko trending Mein Laya Ja sakta hai agar aap Sabhi point ko follow Karte Hain to apne Koi bhi video ko ya Sabhi video ko trending par La sakte hain.

aapko internet par chaye huye topic par video banana Hoga Jis Par bahut jyada sarching ho raha hai aur uska video Banakar upload Karna Hogi Jis Se Wah video trending mein aa sakta hai.


Yah jankari bhi padhe


Youtube channal chalane ke liye best mobile apps ki jankari
Online intro banane ke liye best website
Bina watermark wale best android video editor apps
Video me text kaise dalte hai jane iske baare me

YouTube se Judi Hui iske atirict aur koi  jankari chahie To Apne Sawal Hame comment ke Madhyam se jarur share Kare.

WhatsApp Group Join Now
Avtar Singh
Avtar Singh

मेरा नाम अवतार सिंह है और मै इस ब्लॉग का संस्थापक हूँ । यहा पर मै अपने पाठको के लिए उपयोगी जानकारी हिन्दी मे शेयर करता हूँ । यह जानकारी आपको पसंद आए तो social मीडिया मे जरूर शेयर करे ।

Articles: 491

9 Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *