Mobile se youtube intro video kaise-banaye

WhatsApp Group Join Now

Last Updated on 22/09/2024 by Avtar Singh

Hello dosto namaskar aaj ke aapne is post me mai
bataunga ki ham
youtube intro video apne android mobile se kaise bana sakte.

youtube ka use aaj to sabhi karte hai video dekhne me lekin isse aap paise bhi kma sakte hai agar aap nya youtube channal bnana chahte hai aur topic ki talash me hai to is topic ko read kar sakte hai 
Mobile se youtube intro video kaise-banaye 9


youtube channal banane ke baad uske video ko popular banane ke liye aur video ko attrective look dene ke liye intro video ki jarurat hoti hai.mobile se introvideo kaise banaye Is se pehle jaan lete hai ki youtube intro video
hota kya hai iska kya use hai.
Youtube intro video kya hai
Youtube intro video youtube ke video mein laga hua
ek chota video hota hai. Jo ki 5-10 second ka hota hai. Yah video ke starting
me lga hua hota hai.
Yeah ek tarah se youtube pe channel ka introduction
hai. Jis tarah se tv ke channel chalu hote hain to channel ka logo 3d effect ke
sath chalu hota hai aur uska naam likha hua aata hai. Waise hi youtube ke video
par intro video lgane se yah ek behtarin look ke sath start hoga.
Isse video ko professional look milega. Aap apne youtube channel mein,
video mein intro video nahi lagate hai to aapke channel ki pehchan nahi milegi.
Youtube intro video mein channel ka naam likha hota hai. Intro video lagane ke
bahut sare fayde hote hain. Isliye sabhi youtuber ko apne youtube channel me
intro video lagana chahiye.
Youtube channel me intro video lagane ke fayde
1. Apne channel ke youtube
video mein intro video lgane se videos ko best look milta hai.
2.isse viewer bhi attract hote
hain.
3. Youtube intro videos aapke channel ki aur aapke video
ki pehchan banati hai aur isse subscriber bhi bante hain.
4. Youtube intro video lagaane se channel
professional channel lagta hai.
Mobile mein youtube intro video kaise banaye
@ Sabse pahle aapko Mobile me youtube intro video
banane ke liye play store se intro maker software download karna hoga.


@ Download karne ke baad youtube intro maker ko
open kare.
Jab aap open karte hain toh bahut sare templates,
intro video aapke samne dikhai denge. Aap apni choice ke hisab se download ke
option se click karke download kar sakte hain.
@ Template download hone ke baad edit ke option par
click kare.
Edit par click karte hain to aapke samne neeche
line mein bahut sare option aa jayenge.
Text
Sticker
Music
Sound
Picture
Mobile se youtube intro video kaise-banaye 10
Text ke option par click karte
hain to apne intro video main apne channel ka naam de sakte hain. Aap text
option me  alag alag design se naam likh
sakte hain
Sticker ke options par
aap apne intro video mein sticker laga sakte hain. Jab sticker per click karte
hai to neeche mein aur bahut sare option aa jata hai.
My
Popular
Text
Energy
Social
Emoji
Fire etc in mein se koi bhi
sticker chunkar aap apne intro video mein laga sakte hain.
Mobile se youtube intro video kaise-banaye 11
Music ke option se aap apne intro
video mein sound yani  music de sakte
hain.
Mobile se youtube intro video kaise-banaye 12
Picture ke options se
diye gaye picture ko download karke laga sakte.
Yeh sab kaam ho jane ke baad professionally aapka
intro video design ho jata hai.ise aap beech-2 me play karke dekhte rahe kaise ban rha hai.

 Iske baad right ke option par apne intro video
ko save kar lijiye.
 aapka intro
video processing hokar taiyaar ho jayega jise aap apne youtube channel mein
laga sakte hain apne youtube ko extra look dekar popular bana sakte hain aur
apne youtube ki earning badha sakte hain.
Extra shot
Dosto is tarah se aap play store se ek chota sa
software download karke apne youtube channel ke liye best intro video bana
sakte hain aur usse apne youtube channel mein laga sakte hain yeh bahut hi easy
hai.
Dosto mobile se youtube intro video kaise banaye is post se juda apke sawal ho toh aap hume
comment box mein puch sakte hain. Yah  post achha lage to social media me jarur share
kare.



Read This Useful Article
Youtube video me custum thumbnail lagana shikhe
15 Youtube keyboard shortcut hindi me jaane
youtube channal ke liye copyright free image kaise download kare
Youtube se video download karna shikhe
WhatsApp Group Join Now
Avtar Singh
Avtar Singh

मेरा नाम अवतार सिंह है और मै इस ब्लॉग का संस्थापक हूँ । यहा पर मै अपने पाठको के लिए उपयोगी जानकारी हिन्दी मे शेयर करता हूँ । यह जानकारी आपको पसंद आए तो social मीडिया मे जरूर शेयर करे ।

Articles: 491

2 Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *